πŸ“‘ RSCIT Admission Form PDF Download

Agar aap Rajasthan ke student hain aur RSCIT course me admission lena chahte hain, to aapko sabse pehla step hota hai RSCIT admission form bharna. Is post me aapko milega rscit admission form PDF download link, aur form bharne ka step-by-step guide – sab kuch simple Hinglish me.

Aaj bhi bahut saare students confused rehte hain ki RKCL admission form kaise milega, kaise bharein, aur kahan submit karein. Is post me hum sirf unhi students ke liye batayenge jo form chahte hain aur use sahi se bharna chahte hain.

rscit admission form, rscit form, rkcl admission form, rscit admission form pdf,

πŸ“₯ RSCIT Admission Form PDF Download Karein

Neeche diya gaya link se aap RSCIT form ko direct download kar sakte hain. Yeh form aapko print karke bharna hota hai aur najdik ke RKCL ITGK center par jama karna hota hai.

πŸ‘‰ πŸ“„ Download RSCIT Admission Form 2025 (PDF)

⚠️ Online form bharne ka koi option nahi hota. Aapko form offline hi bharna padta hai.

✍️ RSCIT Form Kaise Bharein?

Form bharte waqt neeche diye gaye steps follow karein:

  1. Basic details likhein: Apna naam, father’s name, date of birth aur gender form me clearly likhein.
  2. Contact info likhein: Apna mobile number aur full address likhna zaroori hai.
  3. Education & ID details: Apni last qualification (jaise 10th pass), Aadhar number, etc. form me bharein.
  4. Photo chipkayein: 1 recent passport size photo form ke upar chipkayein.
  5. Signature karein: Form ke niche student ka sign zaroor karein.
  6. Documents attach karein: Required documents (list neeche hai) form ke sath lagayein.
  7. Form jama karein: Sab complete hone ke baad form ko apne najdik ke RKCL/ITGK center me jama karein.

πŸ“Ž RSCIT Form Ke Sath Ye Documents Jaruri Hai:

  • 10th / 12th Marksheet
  • Aadhar Card
  • 2 Passport Size Photos

πŸ“Œ Inme se koi document missing ho to form reject ho sakta hai.

πŸ”— Useful Links

❓ Kuchh Important FAQs

Q. Kya RSCIT admission form online bhara ja sakta hai?
πŸ‘‰ Nahi. RSCIT admission form sirf offline mode me hota hai. Aapko ITGK center par jaake hi submit karna hota hai.

Q. RSCIT form aur RKCL admission form alag hai kya?
πŸ‘‰ Dono same hai. RKCL hi RSCIT course conduct karta hai.

Q. Galti ho jaaye to kya karein?
πŸ‘‰ Naya form leke dobara bharna hota hai, ya center wale se help le sakte ho.

πŸ“ž Final Tip:

Form sahi bharna bahut zaruri hai. Agar aap chahte ho ki koi help kare ya check kare, to aap center pe form le jaake bharwa bhi sakte ho.

Aur agar aapko koi confusion ho to comment karein.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

error: Content is protected !!
Scroll to Top